Wednesday 20 February 2019

Facebook Account Permanently Delete Kaise Kare? Puri Jankari image ke saath

Hello dosto aaj iss nibandh (article) me aapko bataunga ki aap apne facebook account ko kaise permanently delete kar sakte ha. Yahan par facebook account delete se jura sari jaankari photos ke saath me milaga jise aap asani se samajh payenge kaise karna hai.


Sabse pahale me aapko batana chahunga Facebook Sahayata (FacebookSahayata.blogspot.com) website puri tarah facebook ke upar banaya gaya hai. Yahan par aapko facebook se jura har ek sawal ka jawab milega agar aapka koi sawal yah sujhav ho to nise comment jarur kijiye. Aapko jawab jarur milega.

Agar aap apana facebook account delete karna chahte hai toh me ek baat batana chahunga aapka fb account delete hone ke baad ise dubara khola nahi ja sakata. Isiliye pahle toh aap yeh confirm kar lijiye kiya aap sach me account delete karna chahte hai? Kyuki account delete hone ke baad uss account ka koi namonishan nahi rahega.

Agar aap kuchh samay ke liye aapna facebook account band rakhna chate hai toh usse Deactive kijiye naki delete. Deactivate karne par aap ka account kuchh samay (temporary) ke liye delete ho jayega jab tak aap isse dubara activate na kare. Yani ki agar aap apne facebook account ko deactivate karte hai toh yeh facebook se hide ho jayega lakin delete nahi hoga.

Nibandh thora lamba hone bala hai kyuki mana har ek chij ko cover karne ki koshish kya hai taki aap ko acche se samjha saku.

Aapko apna facebook account permanently delete karne ke liye nisha diye gaye steps ko follow kijiye

Log in to your account.

Apna account delete karne ke liye sab se pahle aapko apna facebook account par log in karna hoga.

• Help par click kijiye.
3 line's par click kare

fb account permanent delete kaise kare, facebook delete karna hai
Help par click kare
Agar aap mble ka use karte hai toh log in karne ke baad right side upar mein tin line par click karna hai; uske baad scroll karke niche aayiye aur Help par click kijiye.
fb account permanent delete kaise kare, facebook band kaise kare
help par click kare
Agar aap PC (Computer) ka istemal karte hai toh account me log in karne ke baad scroll karke niche aayiye aur Help par click kijiye.

• Delete account likhkar Search Help Center par click kijiye.
facebook account delete kaise kare
delete account likh kar search help center par click kare
Help par click karne ke baad naya page khulega. Wahaan par aapko Delete Account type kar ke Search Help Center par click kijiye.

 • How do I permanently delete my Facebook account Select kijiye.
facebook account delete kaise kare
How do I permanently delete my Facebook account par click kare
Jab aap Delete Account likhkar Search Help Center par click karenge toh aapko bohut sara option milega. Wahan par aap ko How do I permanently delete my Facebook account par click karna hai. 

• Click here par click kijiye.
jio phone me facebook account kaise delete kare
click here par click kare

Jab aap how do I permanently delete my account par click karenge toh next page ek article milega. Jahan par aapko facebook aapko bolta hain ki account delete karne se pahle aap chate hain to aap apna photo aur posts ka ek copy download kar sakte hai.

Wahan par aapko ek paragraph milaga jahaan par likha hua hoga To permanently delete your account, log into your account and click here to review your options and start the delegation process. Yahan par aap ko click here par click karna hoga.

• Delete account select kijiye.
facebook account kaise delete karte hai
delete account select kar ke continue par click kare

Click karne ke baad ek naya page open hoga jahan par dou options milega.

Pahala Deactivate Account aur dusra Delete Account. Aap delete account select karke continue par click kare.

Uske baad ek naya page open hoga wahan par apko Delete Account par click karna hai.

• Confirm This Is Your Account.
facebook account kaise delete karte hai
 apana password dalkar continue par click kare

Facebook account delete karne se pahale ye confirm karta hai ki kya yeh aap kahi account hai. Yahaan par apna facebook password dalne se yeh confirm hoga ki yeh aap kahi account hai. Yahan par apna password dalkar continue par click kare.

• Confirm Permanent Account Deletion.
facebook account kaise delete karte hai
Delete account par click kare

Yahan par facebook aapko message deta hai ki agar aap apna account delete karna chahte hai to Delete Account par click kare. Aur bataya ja raha hai ki agar aap account deletion submit karte hai toh 30 din aapke pas time rahega dubara apana account chalo (reactivate) karne ke liye. 30 din ke baad aap chahkar bhi dubara account chalo nahi kar paoge.

Yahaan par aapko delete account par click karna hai aur aap ka account deletion confirm ho jayega aur 30 din tak delete ho jayega.

Note: Aap ye bhi jan lijiye agar aap facebook account delete karna chahte hai toh ek bar confirm karne ke baad 30 din tak galti se bhi account khulne ki kosish na kare nahi toh aap ka account delete nahi hoga. Account delete hua hai ya nahi ye 30 din ke baad check kare. Check karne ke liye aapko apana account mein log in karane ki kosis karna hoga lekin aap facebook me log in nahi kar payenge.

Agar aap galti se apna account mein log in kar pate hain toh facebook kholne se pahle aapko facebook ek message dikhega wahan par aapko confirm deletion mein click karna hai.

0 comments: